Sunday, 28 July 2013

KaaNTon kii chubhan

KaaNTon kii chubhan pa_ii phuulo.n kaa mazaa bhii
dil dard ke mausam me.n royaa bhii ha.Nsaa bhii 

Aane kaa sabab yaad na jaane kii Khabar hai
vo dil me.n rahaa aur use to.D gayaa bhii
Har ek se manzil kaa pataa puuchh rahaa hai
gumaraah mere saath huaa rahanumaa bhii 

'Gumnaam' kabhii apano.n se jo Gam huye haasil
kuchh yaad rahe un me.n kuchh bhuul gayaa bhii 

Gumnaam 

Friday, 19 April 2013

Chaliye sambhal sambhal ke


Din aa gaye sabaab ke aa.Nchal sambhaaliye
hone lagii hai shahar me.n hal-chal sambhaaliye...
 
Chaliye sambhal sambhal ke kaThin raah-e-ishq hai
naazuk ba.Dii hai aap kii paayal sambhaaliye...
 
Saj dhaj ke aap nikale sar-e-raah Khair ho
Takaraa na jaaye aap ka paagal sambhaaliye...
 
Ghar se naa jaao duur kisii ajanabii ke saath
barase.nge zor-zor se baadal sambhaaliye..


Thursday, 21 March 2013

Mere baare mein koi baat na karna unse

Baat nikalegi to phir dur talak jaayegi 
Log bevajah udaasi kasabab puchenge 
Ye bhi puchhenge ki tum itani pareshan kyun ho 
Ungaliyan uthengi sukhe huye baalon kii taraf 

Ke nazar dekhenge guzare huye saalon ki taraf 
Chudiyon par bhi kai tanz kiye jaayenge 
Kanpate hathon pe bhii fikre kase jaayenge 
Log zaalim hain har ik baat kaa taanaa denge 
Baaton baaton mein meraa zikr bhii le aaye.nge 
Unkii baaton kaa zara saa bhi asar mat lena
Varna chehare ke taasur se samajh jaayenge 
Chaahe kuchh bhi ho savaalaat na karanaa unase 
Mere baare me.n koi baat na karanaa unse 
Baat nikalegi to phir duur talak jaayegii ......



The Unforgettables - Jagjit Chitra Singh Ji